Meri Arzoo Hai...

 Meri aarzoo hai ussay pyar doon,
ussay chahaton say nikhaar doon,
Kahin
aansoun mein doob kr,
ussay her ghari mein qarar doon,
Mein janoon-e-ishq
mein jhoom kr,
ussay qurbaton ka hisaar doon,
Mujhay uss say kitna pyar
hai,
Taaron ka kaisy shumaar doon,
Mery her taraf ussi ki sooch
hai,
Kaisy mein khud ko faraar doon,
Aakhir woh phir kho jaaey
na,
ussay apni rooh mein utaar loon...!

Discussion started by Aisha Akhter , on 14 April 11:37 PM
Replies